top of page

10th October 2024- Idea of blogging

Oct 10

3 min read

0

3

0

Namaskar sabko! Iss website pe jo bhi blog aayenge vo sab bilkul raw rahenge. Jo bhi meri feeling hongi, din kesa gaya, I'll try to share everything. I don't know when you are reading this blog, but thank you for being here! Let's start.


Aaj 10th October 2024 ko me New York me hu, apna course karra hu (Masters of Construction Administration) columbia university se. Vese to course khatam hone vala hai, sirf 2 mahine bache hai. Iske baad vapas India jaane ka plan hai aur vaha kaam krna ka plan hai.

Subha uthke aaj sabse phele garam paani ke saath ke saath shilajit liya. Uske baad me ginger honey lemon team leta hu kaafi time se, lekin aaj rehegaya. Common room me bethkar aur instagram pe thoda time pass karke, mene estimating vale subject ka assignment kiya aur saath me TV pe 'shaadi me zaroor ana' lagali thi. Pata nahi kese bethe bethe idea aya ki kyo na me hrr roj apna din share krru, I don't know the use but mann kiya to domain liya aur kaam chalu krdiya.


Thoda sa assignment karke meri best friend, shreeja ki video call aai. Uski internship ka scene chalra hai, mehenat krri hai lekin result nahi milra. Mujhe yakeen hai ki vo krlegi. Bahut strong ladki hai, akele hi sab kuch kar leti hai. Sabse alag hai. Bhagwaan usse sab khushiyaan de!

Baat karte karte time ka gaya pta hi nahi chala. 4:30 ke around I went to bath because I had class from 6:00PM and for that I need to leave my place at around 5:00 PM kyoki meri dost Rudrakshi ek meeting point pe milti hai jaha se hum saath me collage jaate hai. Meri Jaga se vo meeting point 30 minute durr hai aur uski jaga se bhi. Jab bhi hum nikalte hai to ek dusre ko call krdete hai.


Collage pochne ke baad class me gaye to pata chala ki hamari professor late aayegi, aur kuch peene ka mann to kar hi raha tha, Nishchal aur me phir starbucks chalegaye. Ek bht badiya kissa hua aaj:


Nishchal aur me jab classroom me gaye to Rudrakshi was talking to Willy, one of our peer. We asked her ki chalegi Starbucks, abhi time hai kyoki professor late aayegi. She said that Starbucks is far away to mene ekdam se bol diya ki you stay here we'll bring something for you. Bhayi uske baad jo hassi aai, Nishchal aur me yahi baat krre the ki maja agya,usse willy ke saath phasa diya!


Vo boring class khatam hui to phir hum gaye 'Amity Hall'. Jaane ka bilkul mann nahi tha lekin jana pada because only 2 months left. Ye '2 months' vali feeling kabhi kabhi bht jayada intense hojati hai. Kisi ko bolta nahi me lekin 2 mahine ka aage ka sochke thoda udaas hojata hu me. Kher, Amity jaane ke baad vaha sabse baat krri, thode naye Indians mille..unko course ke baare me bataya aur thodr der baad hum nikalgaye. Kuch khane ko nahi milla yaar, veg me sirf nacho aur falafel the, main reason to khana hi tha jaane ka.


Amity se nikalkar, humne vahi pr 30 min wait kiya, Nishchal aur Niranjan ki 'via' aari thi. 'Via' columbia ki cab service hai, jo hamare liye free hoti hai lekin ek specific area me hi chalti hai aur me kamre tak nahi jaati, isilye roj chalna padta hai.

Khade khade baat krri, hassi majak kiya lekin jab jaare the to mujhe laga ki Rudrakshi ka mood kharad tha, samaj nahi aya, usne na bye bola na kuch. Maybe I'm overthinking.


These day I'm going to the gym after coming from the class, since I went to Amity Hall today, I came back at around 10PM. After keeping the bag and changing I went to gym but it was closed. Uske baad didi ki video call aai, vo aaj ghar pe hai kyoki 'Ashtmi' hai. Sabse baat karke, me abhi ye blog likra hu aur saath me laptop me gaane bajre hai ' Me phir bhi tumko chahunga.' Abhi yaha pe 11:42 hore hai. Aaj to dinner bhi nahi kiya aur bht bhook lagri hai aur cook krne ka bilkul man nahi hai, kuch dhundna padega!


Ye rahi meri photo aajki, itni thakaan dikh rahi hai face pr aur upar se bhook!!


Issi ke saath me chalta hu, GOOD NIGHT. KAL MILTE HAI.

Oct 10

3 min read

0

3

0

Comments

Share Your ThoughtsBe the first to write a comment.
bottom of page